bala se koi kahe din ko raat chup rahna
balā se koī kahe din ko raat chup rahnā
tum apne hoñToñ pe rakh lenā haat chup rahnā
kahīñ pe kuchh bhī nazar aa.e pūchhnā mat kuchh
kabhī nikalnā agar mere saath chup rahnā
ḳhudā ne baḳhshā hai kyā zarf mom-battī ko
pighalte rahnā magar saarī raat chup rahnā
tumhāre sar pe bagūle bhī aa ke chīḳheñge
magar bhulānā nahīñ merī baat chup rahnā
tumhārī chīḳh tumheñ be-panāh kar degī
shikārī kab se lagā.e hai ghaat chup rahnā
zabān taalū meñ paivast kar ke rakhnā 'talab'
koī mazāq hai kyā tā-hayāt chup rahnā
bala se koi kahe din ko raat chup rahna
tum apne honTon pe rakh lena hat chup rahna
kahin pe kuchh bhi nazar aae puchhna mat kuchh
kabhi nikalna agar mere sath chup rahna
KHuda ne baKHsha hai kya zarf mom-batti ko
pighalte rahna magar sari raat chup rahna
tumhaare sar pe bagule bhi aa ke chiKHenge
magar bhulana nahin meri baat chup rahna
tumhaari chiKH tumhein be-panah kar degi
shikari kab se lagae hai ghat chup rahna
zaban talu mein paiwast kar ke rakhna 'talab'
koi mazaq hai kya ta-hayat chup rahna
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 145)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.