ban gaya tadbir se har rasta taqdir ka
ban gayā tadbīr se har rāsta taqdīr kā
ab nahīñ kuchh ḳhauf pairoñ ko kisī zanjīr kā
kar diyā ḳhāmosh sho.aloñ ne jalā kar har varaq
lafz phir bhī chīḳhtā ik rah gayā tahrīr kā
ḳhaak sargardāñ hai har sū kuchh nahīñ badlā yahāñ
dekhtī haiñ ab bhī rāheñ rāsta rahgīr kā
ek ruḳh par thiiñ bahāreñ ek ruḳh be-rañg-o-nūr
aur merī samt thā be-rañg ruḳh tasvīr kā
jab nishāne par mire dil ke sivā kuchh bhī na thā
phir asar hotā na kyuuñ terī nazar ke tiir kā
ham faqīrī meñ 'alīnā' shaad haiñ ābād haiñ
kyā hameñ karnā hai terī daulat-o-jāgīr kā
ban gaya tadbir se har rasta taqdir ka
ab nahin kuchh KHauf pairon ko kisi zanjir ka
kar diya KHamosh shoalon ne jala kar har waraq
lafz phir bhi chiKHta ek rah gaya tahrir ka
KHak sargardan hai har su kuchh nahin badla yahan
dekhti hain ab bhi rahen rasta rahgir ka
ek ruKH par thin bahaaren ek ruKH be-rang-o-nur
aur meri samt tha be-rang ruKH taswir ka
jab nishane par mere dil ke siwa kuchh bhi na tha
phir asar hota na kyun teri nazar ke tir ka
hum faqiri mein 'alina' shad hain aabaad hain
kya hamein karna hai teri daulat-o-jagir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.