ban ke ek misra-e-namnak nazar tak pahuncha
ban ke ik misra-e-namnāk nazar tak pahuñchā
maujzan ishq mirā arsh-o-qamar tak pahuñchā
kis tarah bhūlūñ batā ḳhauf se jarjar āñkheñ
dekhte dekhte paanī mire sar tak pahuñchā
ishtihāroñ meñ hī gum ho ga.ī kul āvāzeñ
sab ne bas dekhā sunā kaun ḳhabar tak pahuñchā
hukmarānoñ ko faqat vote se matlab varna
kis ne muflis kī sunī kaun idhar tak pahuñchā
tum se kahte na bane ham ko pata hai vo shai
jazba-e-ishq thā hoñToñ se jigar tak pahuñchā
us ke jazboñ kī badaulat hī to ginnā sīkhe
vo ḳhalāoñ se laḌā shunya bashar tak pahuñchā
dil kā sab haal bayāñ kar ga.iiñ muḳhbir āñkheñ
rog paalā thā kabhī aaj asar tak pahuñchā
aap par khul na sakā apnī tabī.at kā rumūz
aur vo shaḳhs to imkān-e-bashar tak pahuñchā
ban ke ek misra-e-namnak nazar tak pahuncha
maujzan ishq mera arsh-o-qamar tak pahuncha
kis tarah bhulun bata KHauf se jarjar aankhen
dekhte dekhte pani mere sar tak pahuncha
ishtihaaron mein hi gum ho gai kul aawazen
sab ne bas dekha suna kaun KHabar tak pahuncha
hukmaranon ko faqat wote se matlab warna
kis ne muflis ki suni kaun idhar tak pahuncha
tum se kahte na bane hum ko pata hai wo shai
jazba-e-ishq tha honTon se jigar tak pahuncha
us ke jazbon ki badaulat hi to ginna sikhe
wo KHalaon se laDa shunya bashar tak pahuncha
dil ka sab haal bayan kar gain muKHbir aankhen
rog pala tha kabhi aaj asar tak pahuncha
aap par khul na saka apni tabiat ka rumuz
aur wo shaKHs to imkan-e-bashar tak pahuncha
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.