ban ke KHushbu jo chal paDi hai abhi
ban ke ḳhushbū jo chal paḌī hai abhī
koī taaza kalī khilī hai abhī
ain mumkin hai yaad ho un kī
dil meñ ik sham.a sī jalī hai abhī
kyoñ khaTaktī hai sab kī nazroñ meñ
shāḳh-e-nāzuk pe jo kalī hai abhī
is ke saa.e meñ amn paltā thā
vo jo dīvār ik girī hai abhī
be-ḳhabar kaise ho ga.e rahbar
zindagī raah meñ paḌī hai abhī
nafratoñ kā asar hai ye shāyad
dil pe jo gard sī jamī hai abhī
koī 'ārif' vafā kā kaam karo
ādamiyyat bahut dukhī hai abhī
ban ke KHushbu jo chal paDi hai abhi
koi taza kali khili hai abhi
ain mumkin hai yaad ho un ki
dil mein ek shama si jali hai abhi
kyon khaTakti hai sab ki nazron mein
shaKH-e-nazuk pe jo kali hai abhi
is ke sae mein amn palta tha
wo jo diwar ek giri hai abhi
be-KHabar kaise ho gae rahbar
zindagi rah mein paDi hai abhi
nafraton ka asar hai ye shayad
dil pe jo gard si jami hai abhi
koi 'arif' wafa ka kaam karo
aadamiyyat bahut dukhi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.