ban na ban meri jaan jhuT na bol
ban na ban merī jaan jhuuT na bol
bas mujhe apnā maan jhuuT na bol
kyā kahā mujh ko chāhtā hai tū
ho rahī hai azaan jhuuT na bol
ḳhush huuñ us ke baġhair maiñ ne kahā
mujh se bolī zabān jhuuT na bol
ye mohabbat nahīñ hai dhokā hai
tū nahīñ mehrbān jhuuT na bol
raat tū der tak nahīñ sotī
bulb hotā hai on jhuuT na bol
ye kalā.ī pe kis ke hāthoñ ke
paḌ ga.e haiñ nishān jhuuT na bol
dekh 'shahbāz' dil kī bātoñ meñ
mere shīrīñ bayān jhuuT na bol
ban na ban meri jaan jhuT na bol
bas mujhe apna man jhuT na bol
kya kaha mujh ko chahta hai tu
ho rahi hai azan jhuT na bol
KHush hun us ke baghair main ne kaha
mujh se boli zaban jhuT na bol
ye mohabbat nahin hai dhoka hai
tu nahin mehrban jhuT na bol
raat tu der tak nahin soti
bulb hota hai on jhuT na bol
ye kalai pe kis ke hathon ke
paD gae hain nishan jhuT na bol
dekh 'shahbaz' dil ki baaton mein
mere shirin bayan jhuT na bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.