ban-sanwar kar ho jo wo jalwa-numa koThe par
ban-sañvar kar ho jo vo jalva-numā koThe par
charḳh-e-chārum kā nazar aa.e samā koThe par
tasht-az-bām na karnā kahīñ rāz-e-ulfat
na ishāre karo ai shoḳh-adā koThe par
Dore Dāleñ na kahīñ yaar uḌāne vaale
be-takalluf na yuuñ kankavve uḌā koThe par
sab ko mahtāb kā dhokā huā mahtābī par
kal sar-e-shām vo mah-rū jo chaḌhā koThe par
vo kahā karte haiñ koThoñ chaḌhī hoñToñ niklī
dil meñ hī rakhnā jo kal raat huā koThe par
chāñdnī ho bichhī aur chāñd ne ho khet kiyā
aur pahlū meñ ho vo mah-laqā koThe par
āftāb-e-lab-e-bām ab to hue haiñ 'kaifī'
āñkheñ phir us se laḌā.eñ bhalā kyā koThe par
ban-sanwar kar ho jo wo jalwa-numa koThe par
charKH-e-chaarum ka nazar aae sama koThe par
tasht-az-baam na karna kahin raaz-e-ulfat
na ishaare karo ai shoKH-ada koThe par
Dore Dalen na kahin yar uDane wale
be-takalluf na yun kankawwe uDa koThe par
sab ko mahtab ka dhoka hua mahtabi par
kal sar-e-sham wo mah-ru jo chaDha koThe par
wo kaha karte hain koThon chaDhi honTon nikli
dil mein hi rakhna jo kal raat hua koThe par
chandni ho bichhi aur chand ne ho khet kiya
aur pahlu mein ho wo mah-laqa koThe par
aaftab-e-lab-e-baam ab to hue hain 'kaifi'
aankhen phir us se laDaen bhala kya koThe par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.