bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs
banā gulāb to kāñTe chubhā gayā ik shaḳhs
huā charāġh to ghar hī jalā gayā ik shaḳhs
tamām rañg mire aur saare ḳhvāb mire
fasāna the ki fasāna banā gayā ik shaḳhs
maiñ kis havā meñ uḌuuñ kis fazā meñ lahrā.ūñ
dukhoñ ke jaal har ik sū bichhā gayā ik shaḳhs
palaT sakūñ hī na aage hī baḌh sakūñ jis par
mujhe ye kaun se raste lagā gayā ik shaḳhs
mohabbateñ bhī ajab us kī nafrateñ bhī kamāl
mirī hī tarah kā mujh meñ samā gayā ik shaḳhs
mohabbatoñ ne kisī kī bhulā rakhā thā use
mile vo zaḳhm ki phir yaad aa gayā ik shaḳhs
khulā ye raaz ki ā.īna-ḳhāna hai duniyā
aur us meñ mujh ko tamāshā banā gayā ik shaḳhs
bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs
hua charagh to ghar hi jala gaya ek shaKHs
tamam rang mere aur sare KHwab mere
fasana the ki fasana bana gaya ek shaKHs
main kis hawa mein uDun kis faza mein lahraun
dukhon ke jal har ek su bichha gaya ek shaKHs
palaT sakun hi na aage hi baDh sakun jis par
mujhe ye kaun se raste laga gaya ek shaKHs
mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal
meri hi tarah ka mujh mein sama gaya ek shaKHs
mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use
mile wo zaKHm ki phir yaad aa gaya ek shaKHs
khula ye raaz ki aaina-KHana hai duniya
aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ek shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.