bana ke naqa-e-ulfat ka sarban mujhe
banā ke nāqa-e-ulfat kā sārbān mujhe
phir us ke ba.ad phirāyā gayā jahān mujhe
idhar vo bichhḌā udhar ik sitārā TuuTā phir
maiñ āsmān ko dekhūñ aur āsmān mujhe
hasad nifāq adāvat havas daġhā lālach
lage hai zahr ye nafrat kā ḳhāndān mujhe
kisī gumān pe kartā nahīñ yaqīn kabhī
kabhī yaqīn pe hotā nahīñ gumān mujhe
kisī ke paañv se mas ho ga.ī tabhī 'ammār'
mirī zamīn lage rashk-e-āsmān mujhe
bana ke naqa-e-ulfat ka sarban mujhe
phir us ke baad phiraya gaya jahan mujhe
idhar wo bichhDa udhar ek sitara TuTa phir
main aasman ko dekhun aur aasman mujhe
hasad nifaq adawat hawas dagha lalach
lage hai zahr ye nafrat ka KHandan mujhe
kisi guman pe karta nahin yaqin kabhi
kabhi yaqin pe hota nahin guman mujhe
kisi ke panw se mas ho gai tabhi 'ammar'
meri zamin lage rashk-e-asman mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.