bana ke taj-mahal KHud use giraunga
banā ke tāj-mahal ḳhud use girā.uñgā
mohabbatoñ meñ baġhāvat hai kyā dikhā.ūñgā
qalam lagā ke adāvat ke peḌ-paudoñ meñ
jo shāḳh sabr kā phal de vahī ugāñgā
utar chukī hai mirī ruuh meñ shab-e-hijrāñ
maiñ us ko hijr kī mankūha ab banā.ūñgā
ġhamoñ kī aañch par aañsū ubaal kar apne
maiñ apne zabt kī quvvat ko āzmā.ūñgā
chalā huuñ bād-e-muḳhālif maiñ ek muddat se
na chheḌo mujh ko vagarna tumheñ rulā.uñgā
karo na fikr sitāroñ kī chaal jo bhī ho
uThā ke chāñd chakorī ke paas lā.ūñgā
lagā ke siine se maiñ rāstoñ ke ye patthar
ḳhizāñ meñ giit bahāroñ ke gungunā.uñgā
maiñ tishnagī ko miTāne ke vāste sahrā
laboñ se tere maiñ ye aable lagā.ūñgā
bhañvar ke pairoñ meñ hasrat ke bāñdh kar ghuñghrū
gar iḳhtiyār meñ hogā to maiñ nachauñgā
maiñ ek mauj-e-'nasīmī' huuñ bastiyāñ dil kī
sarāb-e-dasht tire sāmne basā.ūñgā
bana ke taj-mahal KHud use giraunga
mohabbaton mein baghawat hai kya dikhaunga
qalam laga ke adawat ke peD-paudon mein
jo shaKH sabr ka phal de wahi uganga
utar chuki hai meri ruh mein shab-e-hijran
main us ko hijr ki mankuha ab banaunga
ghamon ki aanch par aansu ubaal kar apne
main apne zabt ki quwwat ko aazmaunga
chala hun baad-e-muKHalif main ek muddat se
na chheDo mujh ko wagarna tumhein rulaunga
karo na fikr sitaron ki chaal jo bhi ho
uTha ke chand chakori ke pas launga
laga ke sine se main raston ke ye patthar
KHizan mein git bahaaron ke gungunaunga
main tishnagi ko miTane ke waste sahra
labon se tere main ye aable lagaunga
bhanwar ke pairon mein hasrat ke bandh kar ghunghru
gar iKHtiyar mein hoga to main nachaunga
main ek mauj-e-'nasimi' hun bastiyan dil ki
sarab-e-dasht tere samne basaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.