banae kitne fasane mere fasane se
banā.e kitne fasāne mire fasāne se
duā.eñ duuñ ki shikāyat karūñ zamāne se
ye āñsuoñ meñ sulagtī huī tamannā.eñ
dhuāñ milā hai mohabbat meñ dil jalāne se
mire sivā na milā koī un kā dīvāna
bharam ye TuuT gayā un ko āzmāne se
mujhe ḳhushī hai kisī ko to mil ga.ī manzil
koī to paar huā mere Duub jaane se
ye haal kaisā banāyā hai dekho 'naġhma' ne
vo baaz kyuuñ nahīñ aate haiñ dil dukhāne se
banae kitne fasane mere fasane se
duaen dun ki shikayat karun zamane se
ye aansuon mein sulagti hui tamannaen
dhuan mila hai mohabbat mein dil jalane se
mere siwa na mila koi un ka diwana
bharam ye TuT gaya un ko aazmane se
mujhe KHushi hai kisi ko to mil gai manzil
koi to par hua mere Dub jaane se
ye haal kaisa banaya hai dekho 'naghma' ne
wo baz kyun nahin aate hain dil dukhane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.