banao jo bhi tumhein kuchh naya banana hai
banāo jo bhī tumheñ kuchh nayā banānā hai
mujhe to apnā sā kuchh dūsrā banānā hai
badan se saa.e sabhī apne yakjā karke mujhe
safar meñ dhuup ke ik qāfila banānā hai
banāo manziloñ se manziloñ ko tum logoñ
mujhe to rāste se rāsta banānā hai
use banānā thā jo vo banā chukā pahle
hamārī miTTī se ab aur kyā banānā hai
banāo ḳhud ko zarā muḳhtalif zamāne se
jo mere dil ko dil-e-mubtalā banānā hai
banao jo bhi tumhein kuchh naya banana hai
mujhe to apna sa kuchh dusra banana hai
badan se sae sabhi apne yakja karke mujhe
safar mein dhup ke ek qafila banana hai
banao manzilon se manzilon ko tum logon
mujhe to raste se rasta banana hai
use banana tha jo wo bana chuka pahle
hamari miTTi se ab aur kya banana hai
banao KHud ko zara muKHtalif zamane se
jo mere dil ko dil-e-mubtala banana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.