band bhi aankhon ko zari kijiye
band bhī āñkhoñ ko zarī kījiye
chand pareshāñ-nazarī kījiye
ik nazar īdhar bhī zarī kījiye
gar nahīñ achchhī, nazarī kījiye
dil ke evaz dījiye bosa hī ek
ḳhuub nahīñ muft-barī kījiye
aa.ine meñ dekhiye mukhḌā miyāñ
aa.ine ko rashk-e-parī kījiye
gar nahīñ qāsid to badal kar ke bhes
aap hī paiġhambarī kījiye
qadr hunar kī jo huī dekh lī
ab hunar-e-be-hunarī kījiye
kaun hai in bātoñ kā maane miyāñ
ḳhuub sī bedād-garī kījiye
dil kī kuchh us kū se na aa.ī ḳhabar
mātam-e-yār-e-safarī kījiye
'mus.hafī' hai vaqt-e-vidā-e-jahāñ
misl-e-charāġh-e-saharī kījiye
band bhi aankhon ko zari kijiye
chand pareshan-nazari kijiye
ek nazar idhar bhi zari kijiye
gar nahin achchhi, nazari kijiye
dil ke ewaz dijiye bosa hi ek
KHub nahin muft-bari kijiye
aaine mein dekhiye mukhDa miyan
aaine ko rashk-e-pari kijiye
gar nahin qasid to badal kar ke bhes
aap hi paighambari kijiye
qadr hunar ki jo hui dekh li
ab hunar-e-be-hunari kijiye
kaun hai in baaton ka mane miyan
KHub si bedad-gari kijiye
dil ki kuchh us ku se na aai KHabar
matam-e-yar-e-safari kijiye
'mushafi' hai waqt-e-wida-e-jahan
misl-e-charagh-e-sahari kijiye
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 379)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.