band darwaze khule ruh mein daKHil hua main
band darwaze khule ruh mein daKHil hua main
Irshad Khan Sikandar
MORE BYIrshad Khan Sikandar
band darvāze khule ruuh meñ dāḳhil huā maiñ
chand sajdoñ se tirī zaat meñ shāmil huā maiñ
khīñch laa.ī hai mohabbat tire dar par mujh ko
itnī āsānī se varna kise hāsil huā maiñ
muddatoñ āñkheñ vazū kartī rahīñ ashkoñ se
tab kahīñ jā ke tirī diid ke qābil huā maiñ
jab tire paañv kī aahaT mirī jānib aa.ī
sar se pā tak mujhe us vaqt lagā dil huā maiñ
jab maiñ aayā thā jahāñ meñ to bahut aalim thā
jitnī ta.alīm milī utnā hī jāhil huā maiñ
phuul se zaḳhm kī ḳhushbū se mo.attar ġhazleñ
lutf dene lagīñ aur dard se ġhāfil huā maiñ
mo.ajaze ishq dikhātā hai 'sikandar'-sāhib
choT to us ko lagī dekhiye choTil huā maiñ
band darwaze khule ruh mein daKHil hua main
chand sajdon se teri zat mein shamil hua main
khinch lai hai mohabbat tere dar par mujh ko
itni aasani se warna kise hasil hua main
muddaton aankhen wazu karti rahin ashkon se
tab kahin ja ke teri did ke qabil hua main
jab tere panw ki aahaT meri jaanib aai
sar se pa tak mujhe us waqt laga dil hua main
jab main aaya tha jahan mein to bahut aalim tha
jitni talim mili utna hi jahil hua main
phul se zaKHm ki KHushbu se moattar ghazlen
lutf dene lagin aur dard se ghafil hua main
moajaze ishq dikhata hai 'sikandar'-sahib
choT to us ko lagi dekhiye choTil hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.