banda-e-mohr-ba-lab hun main sana-KHwan tera
banda-e-mohr-ba-lab huuñ maiñ sanā-ḳhvāñ terā
dil meñ rahtā hai muqaffal ġham-e-pinhāñ terā
zindagī kuchh bhī nahīñ soz-e-mohabbat ke baġhair
aag us dil ko lage jo nahīñ ḳhvāhāñ terā
qulzum-e-ishq ke tūfān se bachnā mālūm
ai dil-e-zār ab allāh nigah-bāñ terā
kyuuñ gul-e-tar ko maiñ ā.īne se tashbīh na duuñ
is meñ aatā hai nazar chehra-e-ḳhandāñ terā
hauz-e-kausar bhī ho us jaam pe sadqe sau baar
jis meñ mujh ko nazar aa.e ruḳh-e-tābāñ terā
banda-e-mohr-ba-lab hun main sana-KHwan tera
dil mein rahta hai muqaffal gham-e-pinhan tera
zindagi kuchh bhi nahin soz-e-mohabbat ke baghair
aag us dil ko lage jo nahin KHwahan tera
qulzum-e-ishq ke tufan se bachna malum
ai dil-e-zar ab allah nigah-ban tera
kyun gul-e-tar ko main aaine se tashbih na dun
is mein aata hai nazar chehra-e-KHandan tera
hauz-e-kausar bhi ho us jam pe sadqe sau bar
jis mein mujh ko nazar aae ruKH-e-taban tera
- Book : hindustaanii adab ke memaar josh malsiyaanii (Pg. 17)
- Author : bhopendra aziiz pariihaar
- Publication : sahityaa academy (#2007)
- Edition : #2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.