banda-navāz ham se ḳhushāmad na ho sakī
jo ho sazā-e-jurm-e-baġhāvat sunā.iye
husn-e-sulūk kā koī in.aam to mile
ehsāñ agar kiye haiñ to patthar bhī khā.iye
āsān manzileñ hoñ to jaarī rahe safar
hoñ rāste kaThin to mire saath aa.iye
har kizb kā javāb bahattar sadāqateñ
sau hurmalā hoñ alī asġhar kā lā.iye
'āshūr' sarbuland jo rahnā hai dahr meñ
ik zaat ke sivā na kahīñ sar jhukā.iye
banda-nawaz hum se KHushamad na ho saki
jo ho saza-e-jurm-e-baghawat sunaiye
husn-e-suluk ka koi inam to mile
ehsan agar kiye hain to patthar bhi khaiye
aasan manzilen hon to jari rahe safar
hon raste kaThin to mere sath aaiye
har kizb ka jawab bahattar sadaqaten
sau hurmala hon ali asghar ka laiye
'ashur' sarbuland jo rahna hai dahr mein
ek zat ke siwa na kahin sar jhukaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.