banda-parwar aap ki to zindagi aabaad hai
banda-parvar aap kī to zindagī ābād hai
aap ko is se ġharaz kyā gar koī barbād hai
hai ijāzat aap to mashk-e-sitam farmā.iye
ham ġharīboñ kā kaleja bā-ḳhudā faulād hai
apnā apnā hai muqaddar apnā apnā hai nasīb
hai koī ābād duniyā meñ koī barbād hai
ḳhuun insāñ kā bahāte haiñ jo paanī kī tarah
aise logoñ kī badaulat gulsitāñ barbād hai
kis qadar mushkil hai khul kar saañs lenā bhī yahāñ
sirf kahne ke liye apnā vatan āzād hai
naujavāñ hāthoñ meñ hai is mulk kī taqdīr ab
naujavāñ hāthoñ ke dam se mulk ye ābād hai
titliyoñ ke pīchhe pīchhe dauḌnā vo har taraf
aaj tak ham ko laḌakpan kā zamāna yaad hai
kis qadar rañgī zamāna thā vo bachpan kā 'mukesh'
kuchh tumheñ bhī yaad hogā kuchh mujhe bhī yaad hai
banda-parwar aap ki to zindagi aabaad hai
aap ko is se gharaz kya gar koi barbaad hai
hai ijazat aap to mashk-e-sitam farmaiye
hum gharibon ka kaleja ba-KHuda faulad hai
apna apna hai muqaddar apna apna hai nasib
hai koi aabaad duniya mein koi barbaad hai
KHun insan ka bahate hain jo pani ki tarah
aise logon ki badaulat gulsitan barbaad hai
kis qadar mushkil hai khul kar sans lena bhi yahan
sirf kahne ke liye apna watan aazad hai
naujawan hathon mein hai is mulk ki taqdir ab
naujawan hathon ke dam se mulk ye aabaad hai
titliyon ke pichhe pichhe dauDna wo har taraf
aaj tak hum ko laDakpan ka zamana yaad hai
kis qadar rangi zamana tha wo bachpan ka 'mukesh'
kuchh tumhein bhi yaad hoga kuchh mujhe bhi yaad hai
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.