banda putla KHata ka hota hai
banda putlā ḳhatā kā hotā hai
mas.ala to anā kā hotā hai
vahī mastūl Dhīlā karte haiñ
jin pe takiya balā kā hotā hai
ham yūñhī ḳhvāb bunte rahte haiñ
khel saarā qazā kā hotā hai
soḳhta tan kī raakh par shāyad
zulm baaqī havā kā hotā hai
jis ko shabnam mile na hisse kī
phuul vo adh-khilā sā hotā hai
banda putla KHata ka hota hai
masala to ana ka hota hai
wahi mastul Dhila karte hain
jin pe takiya bala ka hota hai
hum yunhi KHwab bunte rahte hain
khel sara qaza ka hota hai
soKHta tan ki rakh par shayad
zulm baqi hawa ka hota hai
jis ko shabnam mile na hisse ki
phul wo adh-khila sa hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.