bane-banae hue raston pe ja nikle
bane-banā.e hue rāstoñ pe jā nikle
ye ham-safar mire kitne gurez-pā nikle
chale the aur kisī rāste kī dhun meñ magar
ham ittifāq se terī galī meñ aa nikle
ġham-e-firāq meñ kuchh der ro hī lene do
buḳhār kuchh to dil-e-be-qarār kā nikle
nasīhateñ hameñ karte haiñ tark-e-ulfat kī
ye ḳhair-ḳhvāh hamāre kidhar se aa nikle
ye ḳhāmushī to rag-o-pai meñ rach ga.ī 'nāsir'
vo naala kar ki dil-e-sañg se sadā nikle
bane-banae hue raston pe ja nikle
ye ham-safar mere kitne gurez-pa nikle
chale the aur kisi raste ki dhun mein magar
hum ittifaq se teri gali mein aa nikle
gham-e-firaq mein kuchh der ro hi lene do
buKHar kuchh to dil-e-be-qarar ka nikle
nasihaten hamein karte hain tark-e-ulfat ki
ye KHair-KHwah hamare kidhar se aa nikle
ye KHamushi to rag-o-pai mein rach gai 'nasir'
wo nala kar ki dil-e-sang se sada nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.