bane ho KHak se to KHaksari ho tabiat mein
bane ho ḳhaak se to ḳhāksārī ho tabī.at meñ
tabī.at aisī bantī hai to bantī hai mohabbat meñ
bahā.e jaao aañsū umr-bhar us kī mohabbat meñ
ki aise log motī ke mahal paate haiñ jannat meñ
kahā hāzir meñ kuchh hujjat nahīñ phir mudda.ā pūchhā
sitamgar ne palaT dī baat ab hāzir hai hujjat meñ
kisī se apne haq meñ kuchh sunā bhī hai to jaane do
burā to bādshāh ko bhī kahā karte haiñ ġhībat meñ
mohabbat kī zarā sī baat par itne ḳhafā kyuuñ ho
huā kartī haiñ āḳhir saikḌoñ bāteñ mohabbat meñ
nahīñ lā saktā har ik kohkan farhād kī qismat
ḳhudā baḳhshe baḌā insān guzrā chhoTī ummat meñ
tirī har ek tasvīr ik adā-e-ḳhās rakhtī hai
kare kyā farq ab koī zarūrat aur zīnat meñ
ye kyā saa.il ke muñh par toḌ kar TukḌā sā rakh denā
are bande ḳhudā ko muñh dikhānā hai qayāmat meñ
jo badle dost kā bhes us ko dushman kis tarah jānoñ
gayā hazrat kalīm-ullāh kā naqqāl jannat meñ
mohabbat be-itā.at ek dhoka hai mohabbat kā
mohabbat kā jo da.avā hai to koshish kar itā.at meñ
mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhī kī vo bhī
ulaT hai ek nuqte kī mohabbat aur mehnat meñ
safī' duniyā meñ jiine kā maza kuchh bhī nahīñ paayā
hamārī umr kuchh ġhaflat meñ guzrī kuchh nadāmat meñ
bane ho KHak se to KHaksari ho tabiat mein
tabiat aisi banti hai to banti hai mohabbat mein
bahae jao aansu umr-bhar us ki mohabbat mein
ki aise log moti ke mahal pate hain jannat mein
kaha hazir mein kuchh hujjat nahin phir muddaa puchha
sitamgar ne palaT di baat ab hazir hai hujjat mein
kisi se apne haq mein kuchh suna bhi hai to jaane do
bura to baadshah ko bhi kaha karte hain ghibat mein
mohabbat ki zara si baat par itne KHafa kyun ho
hua karti hain aaKHir saikDon baaten mohabbat mein
nahin la sakta har ek kohkan farhad ki qismat
KHuda baKHshe baDa insan guzra chhoTi ummat mein
teri har ek taswir ek ada-e-KHas rakhti hai
kare kya farq ab koi zarurat aur zinat mein
ye kya sail ke munh par toD kar TukDa sa rakh dena
are bande KHuda ko munh dikhana hai qayamat mein
jo badle dost ka bhes us ko dushman kis tarah jaanon
gaya hazrat kalim-ullah ka naqqal jannat mein
mohabbat be-itaat ek dhoka hai mohabbat ka
mohabbat ka jo dawa hai to koshish kar itaat mein
mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhi ki wo bhi
ulaT hai ek nuqte ki mohabbat aur mehnat mein
safi' duniya mein jine ka maza kuchh bhi nahin paya
hamari umr kuchh ghaflat mein guzri kuchh nadamat mein
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 159)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.