bani rahi hai musibat meri ana baDi der
banī rahī hai musībat mirī anā baḌī der
gale lagā ke tujhe ro nahīñ sakā baḌī der
havas na puurī huī jab kahīñ to 'ilm huā
tire badan kā rahā mujh ko aasrā baḌī der
maiñ aaj ḳhud se milā aur bahut sī bāteñ kiiñ
tumhārā zikr kiyā royā phir hañsā baḌī der
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā meñ zindagī ne mujhe
zarā sī der ko rakkhā magar rahā baḌī der
na jaane raat ne kaisā tilism phūñkā thā
vo chāñd hañstā rahā boltā rahā baḌī der
vo kah rahā thā bichhaḌne se pahle soch to lo
samay nahīñ thā vagarna maiñ sochtā baḌī der
kisī kī yaad kī dastak huī to chauñk paḌe
hamāre zehn meñ gūñjī koī sadā baḌī der
havā-sifat jo mujhe chhū gayā achānak se
mire vujūd kā larza nahīñ gayā baḌī der
ghuTan ziyāda hai nafrat hai ab nahīñ rahtā
diloñ meñ pahle to rahtā rahā ḳhudā baḌī der
'vasīm' dasht meñ niiñd aa ga.ī thī vahshat ko
rukā rahā vahīñ hairat kā qāfila baḌī der
bani rahi hai musibat meri ana baDi der
gale laga ke tujhe ro nahin saka baDi der
hawas na puri hui jab kahin to 'ilm hua
tere badan ka raha mujh ko aasra baDi der
main aaj KHud se mila aur bahut si baaten kin
tumhaara zikr kiya roya phir hansa baDi der
KHayal-o-KHwab ki duniya mein zindagi ne mujhe
zara si der ko rakkha magar raha baDi der
na jaane raat ne kaisa tilism phunka tha
wo chand hansta raha bolta raha baDi der
wo kah raha tha bichhaDne se pahle soch to lo
samay nahin tha wagarna main sochta baDi der
kisi ki yaad ki dastak hui to chaunk paDe
hamare zehn mein gunji koi sada baDi der
hawa-sifat jo mujhe chhu gaya achanak se
mere wujud ka larza nahin gaya baDi der
ghuTan ziyaada hai nafrat hai ab nahin rahta
dilon mein pahle to rahta raha KHuda baDi der
'wasim' dasht mein nind aa gai thi wahshat ko
ruka raha wahin hairat ka qafila baDi der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.