bante hain farzane log
bante haiñ farzāne log
kitne haiñ dīvāne log
dair o haram kī raah se hī
jaate haiñ mai-ḳhāne log
dekh ke mujh ko gum-sum haiñ
aa.e the samjhāne log
kyā sunte nāseh kī baat
ham Thahre dīvāne log
nīchī nazar se mujh ko na dekho
ghaḌ leñge afsāne log
dīvāna kahte haiñ 'amīr'
ḳhuub mujhe pahchāne log
bante hain farzane log
kitne hain diwane log
dair o haram ki rah se hi
jate hain mai-KHane log
dekh ke mujh ko gum-sum hain
aae the samjhane log
kya sunte naseh ki baat
hum Thahre diwane log
nichi nazar se mujh ko na dekho
ghaD lenge afsane log
diwana kahte hain 'amir'
KHub mujhe pahchane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.