bante hain roz roz fasane nae nae
bante haiñ roz roz fasāne na.e na.e
hote haiñ log roz divāne na.e na.e
ā.eñge is ke baa'd zamāne na.e na.e
barbādiyoñ ke hoñge nishāne na.e na.e
tanhā.iyoñ meñ khod ke dil aur dimāġh ko
naġhmoñ ke paa.e ham ne ḳhazāne na.e na.e
mahfil vahī hai sham' bhī parvāne bhī vahī
aate haiñ log rang jamāne na.e na.e
vāqif nahīñ haiñ 'ishq ke rasm-o-rivāj se
ham to hue haiñ tere divāne na.e na.e
ġham se hī dil meñ aa.egī jazbāt par bahār
nikleñge phuul ban ke tarāne na.e na.e
har mah-jabīñ ke nāz-o-adā haiñ alag alag
milte haiñ 'āshiqī ke bahāne na.e na.e
mai-ḳhāna band ho gayā 'sāqī' to kyā huā
kar leñge mai-gusār Thikāne na.e na.e
bante hain roz roz fasane nae nae
hote hain log roz diwane nae nae
aaenge is ke ba'd zamane nae nae
barbaadiyon ke honge nishane nae nae
tanhaiyon mein khod ke dil aur dimagh ko
naghmon ke pae hum ne KHazane nae nae
mahfil wahi hai sham' bhi parwane bhi wahi
aate hain log rang jamane nae nae
waqif nahin hain 'ishq ke rasm-o-riwaj se
hum to hue hain tere diwane nae nae
gham se hi dil mein aaegi jazbaat par bahaar
niklenge phul ban ke tarane nae nae
har mah-jabin ke naz-o-ada hain alag alag
milte hain 'ashiqi ke bahane nae nae
mai-KHana band ho gaya 'saqi' to kya hua
kar lenge mai-gusar Thikane nae nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.