baqa ke sath ana ka sawal aata hai
baqā ke saath anā kā savāl aatā hai
kisī uruuj pe jab bhī zavāl aatā hai
jo TūTtā hai kabhī shāḳh se koī pattā
kisī ke ahd-e-vafā kā ḳhayāl aatā hai
sipah-garī to buzurgoñ ke saath dafn huī
hameñ to aaj fan-e-qīl-o-qāl aatā hai
jo muñh chiḌhāte haiñ āsār ahd-e-māzī ke
hamāre ḳhuun meñ aksar ubaal aatā hai
na jaane kyoñ vahī aulād se pareshāñ haiñ
gharoñ meñ jin ke harām-o-halāl aatā hai
mire ḳhayāl meñ aa kar chaTaḳh gayā vo badan
sunā thā maiñ ne ki shīshe meñ baal aatā hai
use pata hai ki dariyā kā zarf kitnā hai
vo saarī nekiyāñ sāhil pe Daal aatā hai
baqa ke sath ana ka sawal aata hai
kisi uruj pe jab bhi zawal aata hai
jo TuTta hai kabhi shaKH se koi patta
kisi ke ahd-e-wafa ka KHayal aata hai
sipah-gari to buzurgon ke sath dafn hui
hamein to aaj fan-e-qil-o-qal aata hai
jo munh chiDhate hain aasar ahd-e-mazi ke
hamare KHun mein aksar ubaal aata hai
na jaane kyon wahi aulad se pareshan hain
gharon mein jin ke haram-o-halal aata hai
mere KHayal mein aa kar chaTaKH gaya wo badan
suna tha main ne ki shishe mein baal aata hai
use pata hai ki dariya ka zarf kitna hai
wo sari nekiyan sahil pe Dal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.