baqa ke waste ye ehtimam karta hai
baqā ke vāste ye ehtimām kartā hai
hameñ jo jhuk ke zamāna salām kartā hai
hameñ jhukāne kī koshish meñ log jhukne lage
hamārā buġhz bhī kyā ḳhuub kaam kartā hai
hai saath chalnā jise haath thaam le merā
faqīr yāroñ meñ hujjat tamām kartā hai
hamāre naam se nafrat munāfiqīn ko hai
hamārā naam baġhāvat ko aam kartā hai
zamīñ pe rahte hue chup raheñge ham kaise
hamārā maulā sināñ par kalām kartā hai
baqa ke waste ye ehtimam karta hai
hamein jo jhuk ke zamana salam karta hai
hamein jhukane ki koshish mein log jhukne lage
hamara bughz bhi kya KHub kaam karta hai
hai sath chalna jise hath tham le mera
faqir yaron mein hujjat tamam karta hai
hamare nam se nafrat munafiqin ko hai
hamara nam baghawat ko aam karta hai
zamin pe rahte hue chup rahenge hum kaise
hamara maula sinan par kalam karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.