bar-haq nahin hun paikar-e-baatil nahin hun main
bar-haq nahīñ huuñ paikar-e-bātil nahīñ huuñ maiñ
jo kuchh huuñ nā-tamām huuñ kāmil nahīñ huuñ maiñ
dā've agar karūñ to karūñ kis zabān se
kyā maqsad-e-hayāt se ġhāfil nahīñ huuñ maiñ
jab bhī kitāb uThā.ī larazne lagī sadā
goyā ki is kalām ke qābil nahīñ huuñ maiñ
dil kah rahā hai kam jo mirī raushnī kare
aise kisī malāl kā hāmil nahīñ huuñ maiñ
ab aisā ishti'āl de āh-o-bukā karūñ
huuñ mubtalā-e-zo'm ki jāhil nahīñ huuñ maiñ
ham ek se nahīñ haiñ mohabbat ke baab meñ
maanā ki be-niyāz huuñ be-dil nahīñ huuñ maiñ
aisī adā hai zeb faqat lā-sharīk ko
terā karam hai 'aam to saa.il nahīñ huuñ maiñ
bar-haq nahin hun paikar-e-baatil nahin hun main
jo kuchh hun na-tamam hun kaamil nahin hun main
da'we agar karun to karun kis zaban se
kya maqsad-e-hayat se ghafil nahin hun main
jab bhi kitab uThai larazne lagi sada
goya ki is kalam ke qabil nahin hun main
dil kah raha hai kam jo meri raushni kare
aise kisi malal ka hamil nahin hun main
ab aisa ishti'al de aah-o-buka karun
hun mubtala-e-zo'm ki jahil nahin hun main
hum ek se nahin hain mohabbat ke bab mein
mana ki be-niyaz hun be-dil nahin hun main
aisi ada hai zeb faqat la-sharik ko
tera karam hai 'am to sail nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.