bar taraf kar ke takalluf ek taraf ho jaiye
bar taraf kar ke takalluf ik taraf ho jā.iye
mustaqil mil jā.iye yā mustaqil kho jā.iye
kyā gile shikve ki kis ne kis kī dildārī na kī
faisla kar hī liyā hai aap ne to jā.iye
merī palkeñ bhī bahut bojhal haiñ gahrī niind se
raat kaafī ho chukī hai aap bhī so jā.iye
aap se ab kyā chhupānā aap koī ġhair haiñ
ho chukā huuñ maiñ kisī kā aap bhī ho jā.iye
maut kī āġhosh meñ girya-kunāñ hai zindagī
aa.iye do chaar aañsū aap bhī ro jā.iye
shā.irī kār-e-junūñ hai aap ke bas kī nahīñ
vaqt par bistar se uThiye vaqt par so jā.iye
bar taraf kar ke takalluf ek taraf ho jaiye
mustaqil mil jaiye ya mustaqil kho jaiye
kya gile shikwe ki kis ne kis ki dildari na ki
faisla kar hi liya hai aap ne to jaiye
meri palken bhi bahut bojhal hain gahri nind se
raat kafi ho chuki hai aap bhi so jaiye
aap se ab kya chhupana aap koi ghair hain
ho chuka hun main kisi ka aap bhi ho jaiye
maut ki aaghosh mein girya-kunan hai zindagi
aaiye do chaar aansu aap bhi ro jaiye
shairi kar-e-junun hai aap ke bas ki nahin
waqt par bistar se uThiye waqt par so jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.