barabar se bach kar guzar jaane wale
barābar se bach kar guzar jaane vaale
ye naale nahīñ be-asar jaane vaale
nahīñ jānte kuchh ki jaanā kahāñ hai
chale jā rahe haiñ magar jaane vaale
mire dil kī betābiyāñ bhī liye jā
dabe paañv muñh pher kar jaane vaale
tire ik ishāre pe sākit khaḌe haiñ
nahīñ kah ke sab se guzar jaane vaale
mohabbat meñ ham to jiye haiñ jiyeñge
vo hoñge koī aur mar jaane vaale
barabar se bach kar guzar jaane wale
ye nale nahin be-asar jaane wale
nahin jaante kuchh ki jaana kahan hai
chale ja rahe hain magar jaane wale
mere dil ki betabiyan bhi liye ja
dabe panw munh pher kar jaane wale
tere ek ishaare pe sakit khaDe hain
nahin kah ke sab se guzar jaane wale
mohabbat mein hum to jiye hain jiyenge
wo honge koi aur mar jaane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.