barae-dilkashi lafz-o-maani mang leta hai
barā.e-dilkashī lafz-o-ma.ānī maañg letā hai
qalam se roz kāġhaz ik kahānī maañg letā hai
shab-e-furqat meñ jab dil Duub jaatā hai udāsī meñ
tire rangīñ tasavvur se javānī maañg letā hai
bhulā detā hai azmat pyaas meñ apnī samundar bhī
baḌhā kar haath dariyāoñ se paanī maañg letā hai
charāġh-e-rahguzar huuñ maiñ haqīqat hai magar ye bhī
kabhī sūraj bhī mujh se zau-fishānī maañg letā hai
rahe ye baat bhī pesh-e-nazar zill-e-ilāhī ke
falak de kar zamīñ kī hukmrānī maañg letā hai
bharosa kījiye kis kī atā par ai 'kamāl-anvar'
ḳhudā bhī ham se vāpas zindagānī maañg letā hai
barae-dilkashi lafz-o-maani mang leta hai
qalam se roz kaghaz ek kahani mang leta hai
shab-e-furqat mein jab dil Dub jata hai udasi mein
tere rangin tasawwur se jawani mang leta hai
bhula deta hai azmat pyas mein apni samundar bhi
baDha kar hath dariyaon se pani mang leta hai
charagh-e-rahguzar hun main haqiqat hai magar ye bhi
kabhi suraj bhi mujh se zau-fishani mang leta hai
rahe ye baat bhi pesh-e-nazar zill-e-ilahi ke
falak de kar zamin ki hukmrani mang leta hai
bharosa kijiye kis ki ata par ai 'kamal-anwar'
KHuda bhi hum se wapas zindagani mang leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.