barae-nam koi rabta hua to sahi
barā.e-nām koī rābta huā to sahī
ki ek shaḳhs mire haal par hañsā to sahī
zarā sī der ko sadiyoñ kī ḳhāmushī to ga.ī
navāh-e-jāñ se koī shor sā uThā to sahī
dil-e-shikasta ko mauhūm sī umiid to thī
mujhe nasīb nahīñ thā magar vo thā to sahī
kabhī tamām to kar bad-gumāniyoñ kā safar
kisī bahāne kisī roz aazmā to sahī
ye kyā ki harf-o-sadā kā tabādala bhī nahīñ
kahāñ hai kaisā hai ai dost kuchh batā to sahī
har ek dil ko mohabbat pasand honā hai
'aqīl' ab na sahī maiñ nahīñ rahā to sahī
barae-nam koi rabta hua to sahi
ki ek shaKHs mere haal par hansa to sahi
zara si der ko sadiyon ki KHamushi to gai
nawah-e-jaan se koi shor sa uTha to sahi
dil-e-shikasta ko mauhum si umid to thi
mujhe nasib nahin tha magar wo tha to sahi
kabhi tamam to kar bad-gumaniyon ka safar
kisi bahane kisi roz aazma to sahi
ye kya ki harf-o-sada ka tabaadala bhi nahin
kahan hai kaisa hai ai dost kuchh bata to sahi
har ek dil ko mohabbat pasand hona hai
'aqil' ab na sahi main nahin raha to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.