barahna shaKHon pe kab faKHtaen aati hain
barahna shāḳhoñ pe kab fāḳhtā.eñ aatī haiñ
maiñ vo shajar huuñ ki jis meñ balā.eñ aatī haiñ
ye kaun mere lahū meñ diye jalātā hai
badan se chhan ke ye kaisī shuā.eñ aatī haiñ
mujhe sanad kī zarūrat nahīñ hai nāqid se
mirī ġhazal pe hasīnoñ kī raa.eñ aatī haiñ
ḳhudā se jin kā ta.alluq nahīñ bachā koī
safar meñ yaad unheñ bhī duā.eñ aatī haiñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ kab kā bujh chukā huuñ maiñ
mirī talāsh meñ ab tak havā.eñ aatī haiñ
maiñ chīḳhtā huuñ kisī dasht-e-be-amāñ meñ 'salīm'
phir us ke baa'd musalsal sadā.eñ aatī haiñ
barahna shaKHon pe kab faKHtaen aati hain
main wo shajar hun ki jis mein balaen aati hain
ye kaun mere lahu mein diye jalata hai
badan se chhan ke ye kaisi shuaen aati hain
mujhe sanad ki zarurat nahin hai naqid se
meri ghazal pe hasinon ki raen aati hain
KHuda se jin ka talluq nahin bacha koi
safar mein yaad unhen bhi duaen aati hain
unhen KHabar hi nahin kab ka bujh chuka hun main
meri talash mein ab tak hawaen aati hain
main chiKHta hun kisi dasht-e-be-aman mein 'salim'
phir us ke ba'd musalsal sadaen aati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.