baras kar khul gaya abr-e-KHizan aahista aahista
baras kar khul gayā abr-e-ḳhizāñ āhista āhista
havā meñ saañs lete haiñ makāñ āhista āhista
bahut 'arsa lagā rang-e-shafaq mā'dūm hone meñ
huā tārīk niilā āsmāñ āhista āhista
kahīñ pattoñ ke andar dhīmī dhīmī sarsarāhaT hai
abhī hilne lageñgī Dāliyāñ āhista āhista
jahāñ Daale the us ne dhuup meñ kapḌe sukhāne ko
Tapaktī haiñ abhī tak rassiyāñ āhista āhista
samā'at meñ abhī tak āhaToñ ke phuul khilte haiñ
koī chaltā hai dil ke darmiyāñ āhista āhista
badal jā.egā mausam dard kī shāḳh-e-barahna meñ
nikaltī aa rahī haiñ pattiyāñ āhista āhista
baras kar khul gaya abr-e-KHizan aahista aahista
hawa mein sans lete hain makan aahista aahista
bahut 'arsa laga rang-e-shafaq ma'dum hone mein
hua tarik nila aasman aahista aahista
kahin patton ke andar dhimi dhimi sarsarahaT hai
abhi hilne lagengi Daliyan aahista aahista
jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko
Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista
sama'at mein abhi tak aahaTon ke phul khilte hain
koi chalta hai dil ke darmiyan aahista aahista
badal jaega mausam dard ki shaKH-e-barahna mein
nikalti aa rahi hain pattiyan aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.