barasti aag se kuchh kam nahin barsat sawan ki
barasti aag se kuchh kam nahin barsat sawan ki
Rajendra Nath Rahbar
MORE BYRajendra Nath Rahbar
barastī aag se kuchh kam nahīñ barsāt sāvan kī
jalā kar ḳhaak kar detī hai dil ko raat sāvan kī
uThī haiñ kaalī kaalī badliyāñ kyā tum na aaoge
guzar jā.egī kyā tanhā bharī barsāt sāvan kī
kisī kī yaad aatī hai liye ashkoñ kī tuġhyānī
milī hai jholiyāñ bhar kar hameñ sauġhāt sāvan kī
Dagar sunsān bijlī kī kaḌak pur-haul tārīkī
musāfir raah se nā-āshnā barsāt sāvan kī
tumhāre muntazir rahte haiñ sāvan ke hasīñ jhūle
kiyā kartī hai yaad aksar tumheñ barsāt sāvan kī
tahī-dastī kā aalam jām-e-mai saaqī na paimāna
ye kis ne chheḌ dī aise meñ 'rahbar' baat sāvan kī
barasti aag se kuchh kam nahin barsat sawan ki
jala kar KHak kar deti hai dil ko raat sawan ki
uThi hain kali kali badliyan kya tum na aaoge
guzar jaegi kya tanha bhari barsat sawan ki
kisi ki yaad aati hai liye ashkon ki tughyani
mili hai jholiyan bhar kar hamein saughat sawan ki
Dagar sunsan bijli ki kaDak pur-haul tariki
musafir rah se na-ashna barsat sawan ki
tumhaare muntazir rahte hain sawan ke hasin jhule
kiya karti hai yaad aksar tumhein barsat sawan ki
tahi-dasti ka aalam jam-e-mai saqi na paimana
ye kis ne chheD di aise mein 'rahbar' baat sawan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.