barbaad-e-mohabbat ho kar bhi jine ka sahaara ho na saka
barbād-e-mohabbat ho kar bhī jiine kā sahārā ho na sakā
ik dil pe bharosa thā apne vo bhī to hamārā ho na sakā
jalvoñ kī farāvānī tauba dam bhar meñ huiiñ ḳhīra nazreñ
vo sāmne be-parda the magar ham se hī nazāra ho na sakā
āñkhoñ kī zabānī shikva-e-ġham karnā thā bahut un se lekin
ḳhud husn pashemāñ ho jaatā ye ham se gavārā ho na sakā
maanā ki bharī mahfil thī magar kaafī thī mujhe duzdīda nazar
taskīn-e-dil-e-muztar ke liye itnā sā ishārā ho na sakā
ġhairoñ kī tarah muñh takte rahe har ek kā ham is mahfil meñ
āñkhoñ meñ chhalak aa.e aañsū phir zabt kā yaarā ho na sakā
aa.ī jo idhar mauj-e-tūfāñ kashtī thī shikasta Duub ga.ī
afsos payām-e-āfiyyat dariyā meñ kinārā ho na sakā
har bazm-e-nashāt ai 'aish' huī us shoḳh ke jalvoñ se raushan
kāshāna-e-ġham meñ jalva-fagan lekin vo dil-ārā ho na sakā
barbaad-e-mohabbat ho kar bhi jine ka sahaara ho na saka
ek dil pe bharosa tha apne wo bhi to hamara ho na saka
jalwon ki farawani tauba dam bhar mein huin KHira nazren
wo samne be-parda the magar hum se hi nazara ho na saka
aankhon ki zabani shikwa-e-gham karna tha bahut un se lekin
KHud husn pasheman ho jata ye hum se gawara ho na saka
mana ki bhari mahfil thi magar kafi thi mujhe duzdida nazar
taskin-e-dil-e-muztar ke liye itna sa ishaara ho na saka
ghairon ki tarah munh takte rahe har ek ka hum is mahfil mein
aankhon mein chhalak aae aansu phir zabt ka yara ho na saka
aai jo idhar mauj-e-tufan kashti thi shikasta Dub gai
afsos payam-e-afiyyat dariya mein kinara ho na saka
har bazm-e-nashat ai 'aish' hui us shoKH ke jalwon se raushan
kashana-e-gham mein jalwa-fagan lekin wo dil-ara ho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.