barbaadiyon pe meri kisi ki nazar na ho
barbaadiyon pe meri kisi ki nazar na ho
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
barbādiyoñ pe merī kisī kī nazar na ho
dil chāhtā ye hai ki tumheñ bhī ḳhabar na ho
vāraftagān-e-husn se achchhā nahīñ hijāb
barq-e-jamāl-e-yār harīf-e-nazar na ho
ye be-ḳhudī-e-ishq ye ehsās-e-hijr-e-yār
har sub.h āftāb to nikle sahar na ho
merī nazar ne husn ko dilkash banā diyā
kyā jaane husn kyā ho jo merī nazar na ho
rukte haiñ paañv jāda-e-kohna ko dekh kar
apnī to raah vo hai jidhar rahguzar na ho
sair-e-chaman ke vāste āñkheñ bhī chāhiyeñ
ye husn ye bahār fareb-e-nazar na ho
hone ko hai tulūa mirā mahr-e-nīm-shab
vo raat kyā 'bashīr' jo ḳhud hī sahar na ho
barbaadiyon pe meri kisi ki nazar na ho
dil chahta ye hai ki tumhein bhi KHabar na ho
waraftagan-e-husn se achchha nahin hijab
barq-e-jamal-e-yar harif-e-nazar na ho
ye be-KHudi-e-ishq ye ehsas-e-hijr-e-yar
har subh aaftab to nikle sahar na ho
meri nazar ne husn ko dilkash bana diya
kya jaane husn kya ho jo meri nazar na ho
rukte hain panw jada-e-kohna ko dekh kar
apni to rah wo hai jidhar rahguzar na ho
sair-e-chaman ke waste aankhen bhi chahiyen
ye husn ye bahaar fareb-e-nazar na ho
hone ko hai tulua mera mahr-e-nim-shab
wo raat kya 'bashir' jo KHud hi sahar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.