bargashta-e-yazdan se kuchh bhul hui hai
bargashta-e-yazdān se kuchh bhuul huī hai
bhaTke hue insān se kuchh bhuul huī hai
tā-hadd-e-nazar sho.ale hī sho.ale haiñ chaman meñ
phūloñ ke nigahbān se kuchh bhuul huī hai
jis ahd meñ luT jaa.e faqīroñ kī kamā.ī
us ahd ke sultān se kuchh bhuul huī hai
hañste haiñ mirī sūrat-e-maftūñ pe shagūfe
mere dil-e-nādān se kuchh bhuul huī hai
hūroñ kī talab aur mai o sāġhar se hai nafrat
zāhid tire irfān se kuchh bhuul huī hai
bargashta-e-yazdan se kuchh bhul hui hai
bhaTke hue insan se kuchh bhul hui hai
ta-hadd-e-nazar shoale hi shoale hain chaman mein
phulon ke nigahban se kuchh bhul hui hai
jis ahd mein luT jae faqiron ki kamai
us ahd ke sultan se kuchh bhul hui hai
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuchh bhul hui hai
huron ki talab aur mai o saghar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuchh bhul hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.