Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal

Nashtar Khaanqahi

chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal

Nashtar Khaanqahi

MORE BYNashtar Khaanqahi

    chhā gayā sar pe mire gard dhuñdlā bādal

    ab ke sāvan bhī gayā mujh pe na barsā bādal

    siip bujhte hue sūraj taraf dekhte haiñ

    kaisī barsāt mirī jaan kahāñ bādal

    vo bhī din the ki Tapaktā thā chhatoñ se pahroñ

    ab ke pal bhar bhī muñDeroñ pe na Thahrā bādal

    farsh par gir ke bikhartā rahā paare tarah

    sabz bāġhoñ meñ mire ba.ad na jhūlā bādal

    laakh chāhā na milī pyaar pyāsī āġhosh

    ghar dīvār se sar phoḌ ke royā bādal

    aaj shab bhī jahannam meñ sulagte kaTī

    aaj shab bhī to botal se na chhalkā bādal

    chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal

    ab ke sawan bhi gaya mujh pe na barsa baadal

    sip bujhte hue suraj ki taraf dekhte hain

    kaisi barsat meri jaan kahan ka baadal

    wo bhi din the ki Tapakta tha chhaton se pahron

    ab ke pal bhar bhi munDeron pe na Thahra baadal

    farsh par gir ke bikharta raha pare ki tarah

    sabz baghon mein mere baad na jhula baadal

    lakh chaha na mili pyar ki pyasi aaghosh

    ghar ki diwar se sar phoD ke roya baadal

    aaj ki shab bhi jahannam mein sulagte hi kaTi

    aaj ki shab bhi to botal se na chhalka baadal

    RECITATIONS

    Atir Ali Syed

    Atir Ali Syed,

    Atir Ali Syed

    chhaa gayaa sar pe mire gard kaa dhu.ndlaa baadal Atir Ali Syed

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 519)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now