barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki
barkateñ sab haiñ ayaañ daulat-e-rūhānī kī
vaah kyā baat hai us chehra-e-nūrānī kī
shauq dekhe tujhe kis aañkh se ai mehr-e-jamāl
kuchh nihāyat hī nahīñ terī daraḳhshānī kī
mujh se vo sag bhī hai afzal jise izzat ho nasīb
āstān-e-haram-e-yār pe darbānī kī
jab sunā yaad kiyā karte ho tum bhī to mujhe
kyā kahūñ had na rahī kuchh mirī hairānī kī
sa.i-e-ahbāb ko nāhaq hai rihā.ī kā ḳhayāl
aur hī kuchh hai tamannā tire zindānī kī
vo tabassum bhī qayāmat hai tirā bād-e-jafā
tū ne dī ho jise ḳhidmat namak-afshānī kī
mushkiloñ se jo muqābil huī himmat merī
qadr baaqī na rahī aish-e-tan-āsānī kī
rah gayā jal ke tirī bazm meñ parvāna jo raat
khīñch ga.ī shakl mirī soḳhta-sāmānī kī
rashk-e-shāhī ho na kyuuñ apnī faqīrī 'hasrat'
kab se karte haiñ ġhulāmī shah-e-jīlānī kī
barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki
wah kya baat hai us chehra-e-nurani ki
shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamal
kuchh nihayat hi nahin teri daraKHshani ki
mujh se wo sag bhi hai afzal jise izzat ho nasib
aastan-e-haram-e-yar pe darbani ki
jab suna yaad kiya karte ho tum bhi to mujhe
kya kahun had na rahi kuchh meri hairani ki
sai-e-ahbab ko nahaq hai rihai ka KHayal
aur hi kuchh hai tamanna tere zindani ki
wo tabassum bhi qayamat hai tera baad-e-jafa
tu ne di ho jise KHidmat namak-afshani ki
mushkilon se jo muqabil hui himmat meri
qadr baqi na rahi aish-e-tan-asani ki
rah gaya jal ke teri bazm mein parwana jo raat
khinch gai shakl meri soKHta-samani ki
rashk-e-shahi ho na kyun apni faqiri 'hasrat'
kab se karte hain ghulami shah-e-jilani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.