barsa hai ashkon ka sawan bhi dil ki angnai mein
barsā hai ashkoñ kā sāvan bhī dil kī añgnā.ī meñ
phuul khile haiñ ġham ke kitne aaj mirī tanhā.ī meñ
shāḳh lachaknā ġhunche hañsnā panchhī gaanā bhuul ga.e
shāmil hai jo dard tumhārā yādoñ kī purvā.ī meñ
saudā ham ne apne junūñ kā nahīñ kiyā ai ahl-e-hosh
kī hai ḳhaak miTā kar hastī ḳhud ham ne rusvā.ī meñ
dekho saath na chhūTe apnā varna ham ko ḳhauf hai ye
ban jā.eñge naġhme mātam mausam kī shahnā.ī meñ
bāñhoñ meñ ākāsh bharā hai dhartī paañv se lipTī hai
qaid haiñ donoñ aalam us kī kaif bharī añgḌā.ī meñ
shoḳhī mastī ḳhushbū rañgat naaz tabassum aur lachak
ruup nazar aa.e haiñ kitne 'rāg' gul-e-sahrā.ī meñ
barsa hai ashkon ka sawan bhi dil ki angnai mein
phul khile hain gham ke kitne aaj meri tanhai mein
shaKH lachakna ghunche hansna panchhi gana bhul gae
shamil hai jo dard tumhaara yaadon ki purwai mein
sauda hum ne apne junun ka nahin kiya ai ahl-e-hosh
ki hai KHak miTa kar hasti KHud hum ne ruswai mein
dekho sath na chhuTe apna warna hum ko KHauf hai ye
ban jaenge naghme matam mausam ki shahnai mein
banhon mein aakash bhara hai dharti panw se lipTi hai
qaid hain donon aalam us ki kaif bhari angDai mein
shoKHi masti KHushbu rangat naz tabassum aur lachak
rup nazar aae hain kitne 'rag' gul-e-sahrai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.