barson baad mila to usne humse puchha kaise ho
barsoñ ba.ad milā to us ne ham se pūchhā kaise ho
shahr-e-nigārāñ ke markaz the tanhā tanhā kaise ho
vo kuchh mere dard ko bāñTe maiñ kuchh us ke ġham le luuñ
aisā ho to kyā achchhā ho lekin aisā kaise ho
chehre par jo hariyālī thī vo shahroñ meñ zard huī
gaañv kā mukhiyā pūchh rahā hai mere bhayyā kaise ho
uThtī huī maujoñ ke nīche kitnā gahrā paanī hai
ham jaise kuchh log na Dūbeñ to andāza kaise ho
tez-o-tund havā ke hāthoñ kyā biite ye baat alag
shāḳheñ jab tak saath na chhoḌeñ pattā piilā kaise ho
barson baad mila to us ne hum se puchha kaise ho
shahr-e-nigaran ke markaz the tanha tanha kaise ho
wo kuchh mere dard ko banTe main kuchh us ke gham le lun
aisa ho to kya achchha ho lekin aisa kaise ho
chehre par jo hariyali thi wo shahron mein zard hui
ganw ka mukhiya puchh raha hai mere bhayya kaise ho
uThti hui maujon ke niche kitna gahra pani hai
hum jaise kuchh log na Duben to andaza kaise ho
tez-o-tund hawa ke hathon kya bite ye baat alag
shaKHen jab tak sath na chhoDen patta pila kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.