barson ghisa-piTa hua darwaza chhoD kar
barsoñ ghisā-piTā huā darvāza chhoḌ kar
niklūñ na kyuuñ makān kī dīvār toḌ kar
paanī to ab milegā nahīñ regzār meñ
mauqa.a hai ḳhuub dekh lo dāman nichoḌ kar
ab dostoñ se koī shikāyat nahīñ rahī
din bhī chalā gayā mujhe jangal meñ chhoḌ kar
ta.amīr se buland hai taḳhrīb kā maqām
ik se hazār ho gayā ā.īna toḌ kar
apne badan ke saath rahūñ to azaab hai
mar jā.ūñgā maiñ jā.ūñ agar is ko chhoḌ kar
kyuuñ sar khapā rahe ho mazāmīñ kī khoj meñ
kar lo jadīd shā.erī lafzoñ ko joḌ kar
barson ghisa-piTa hua darwaza chhoD kar
niklun na kyun makan ki diwar toD kar
pani to ab milega nahin regzar mein
mauqa hai KHub dekh lo daman nichoD kar
ab doston se koi shikayat nahin rahi
din bhi chala gaya mujhe jangal mein chhoD kar
tamir se buland hai taKHrib ka maqam
ek se hazar ho gaya aaina toD kar
apne badan ke sath rahun to azab hai
mar jaunga main jaun agar is ko chhoD kar
kyun sar khapa rahe ho mazamin ki khoj mein
kar lo jadid shaeri lafzon ko joD kar
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 36)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.