barson main kahan qaid raha puchh ke dekhun
barson main kahan qaid raha puchh ke dekhun
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
barsoñ maiñ kahāñ qaid rahā pūchh ke dekhūñ
kis ne mujhe āzād kiyā pūchh ke dekhūñ
dohrā.ī ga.ī kab mire pīchhe vo kahānī
thā kaun jo unvān banā pūchh ke dekhūñ
samjhā thā ki tanhā huuñ magar saath thā koī
hamrāh mire kaun rahā pūchh ke dekhūñ
aisā jo tire naam se pahchān le mujh ko
kyā shahr meñ koī na rahā pūchh ke dekhūñ
kyoñ dete haiñ suulī mire ham-zād ko ye log
kyā us ne bhī sach bol diyā pūchh ke dekhūñ
angāre uThā laa.e the jo phuul samajh kar
un logoñ kā kyā haal huā pūchh ke dekhūñ
gumrāh kiyā hai mujhe us shaḳhs ne har baar
ab ḳhud se zarā apnā pata pūchh ke dekhūñ
barson main kahan qaid raha puchh ke dekhun
kis ne mujhe aazad kiya puchh ke dekhun
dohrai gai kab mere pichhe wo kahani
tha kaun jo unwan bana puchh ke dekhun
samjha tha ki tanha hun magar sath tha koi
hamrah mere kaun raha puchh ke dekhun
aisa jo tere nam se pahchan le mujh ko
kya shahr mein koi na raha puchh ke dekhun
kyon dete hain suli mere ham-zad ko ye log
kya us ne bhi sach bol diya puchh ke dekhun
angare uTha lae the jo phul samajh kar
un logon ka kya haal hua puchh ke dekhun
gumrah kiya hai mujhe us shaKHs ne har bar
ab KHud se zara apna pata puchh ke dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.