barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat
barsoñ se huuñ maiñ zamzama-pardāz-e-mohabbat
aa.ī na javāban kabhī āvāz-e-mohabbat
ik dard mohabbat hai mirī har rag-o-pai meñ
har saañs hai ab merā ik āvāz-e-mohabbat
har-chand ki har bazm meñ Thukrā.ī ga.ī hai
āvāz-e-mohabbat hai phir āvāz-e-mohabbat
mā'mūr haiñ āvāz-e-mohabbat se fazā.eñ
mastūr hai go sāhib-e-āvāz-e-mohabbat
aa jaa.e zarā sīna-e-āfāq meñ garmī
ho jaa.e zarā sho.ala-zan āvāz-e-mohabbat
ye daur hai daur-e-havas is daur meñ ai dil
suntā nahīñ dil se koī āvāz-e-mohabbat
jis shaḳhs ke siine meñ hai dil kī jagah patthar
samjhegā vo kyā ma'anī-e-āvāz-e-mohabbat
is daur-e-tag-o-dau meñ vafā kaun sunegā
kitnī hī dil-āvez ho āvāz-e-mohabbat
barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat
aai na jawaban kabhi aawaz-e-mohabbat
ek dard mohabbat hai meri har rag-o-pai mein
har sans hai ab mera ek aawaz-e-mohabbat
har-chand ki har bazm mein Thukrai gai hai
aawaz-e-mohabbat hai phir aawaz-e-mohabbat
ma'mur hain aawaz-e-mohabbat se fazaen
mastur hai go sahib-e-awaz-e-mohabbat
aa jae zara sina-e-afaq mein garmi
ho jae zara shoala-zan aawaz-e-mohabbat
ye daur hai daur-e-hawas is daur mein ai dil
sunta nahin dil se koi aawaz-e-mohabbat
jis shaKHs ke sine mein hai dil ki jagah patthar
samjhega wo kya ma'ani-e-awaz-e-mohabbat
is daur-e-tag-o-dau mein wafa kaun sunega
kitni hi dil-awez ho aawaz-e-mohabbat
- Book : Sang-e-meel (Pg. 141)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.