bas dar-o-diwar mil jate hain ghar milta nahin
bas dar-o-dīvār mil jaate haiñ ghar miltā nahīñ
aisā dastāroñ kā jamghaT hai ki sar miltā nahīñ
ḳhvāh donoñ saath mil kar tai kareñ ye fāsla
ai havā tujh ko bhī koī ham-safar miltā nahīñ
qumqumoñ kī aañch ne pighlā diye manzar tamām
chāñd ab koī kisī bhī baam par miltā nahīñ
ik taqāzā huuñ jo puurā hī nahīñ hotā kabhī
sach yahī hai aur is sach se mafar miltā nahīñ
bas dar-o-diwar mil jate hain ghar milta nahin
aisa dastaron ka jamghaT hai ki sar milta nahin
KHwah donon sath mil kar tai karen ye fasla
ai hawa tujh ko bhi koi ham-safar milta nahin
qumqumon ki aanch ne pighla diye manzar tamam
chand ab koi kisi bhi baam par milta nahin
ek taqaza hun jo pura hi nahin hota kabhi
sach yahi hai aur is sach se mafar milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.