bas dil ka ghubar dho chuke hum
bas dil kā ġhubār dho chuke ham
ronā thā jo kuchh so ro chuke ham
tum ḳhvāb meñ bhī na aa.e phir haa.e
kyā ḳhvāb meñ umr kho chuke ham
hone kī rakheñ tavaqqo ab ḳhaak
honā thā jo kuchh so ho chuke ham
kohsār pe chal ke roiye ab
sahrā to bahut Dubo chuke ham
phir chheḌā 'hasan' ne apnā qissa
bas aaj kī shab bhī so chuke ham
bas dil ka ghubar dho chuke hum
rona tha jo kuchh so ro chuke hum
tum KHwab mein bhi na aae phir hae
kya KHwab mein umr kho chuke hum
hone ki rakhen tawaqqo ab KHak
hona tha jo kuchh so ho chuke hum
kohsar pe chal ke roiye ab
sahra to bahut Dubo chuke hum
phir chheDa 'hasan' ne apna qissa
bas aaj ki shab bhi so chuke hum
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.