Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun

Mahmood Shaam

bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    bas ek apne qadmoñ chaap suntā huuñ

    maiñ kaun huuñ ki bhare shahr meñ bhī tanhā huuñ

    jahāñ maiñ jism thā ne vahāñ to saath diyā

    vahāñ bhī aa ki jahāñ maiñ tamām saayā huuñ

    vo ek moḌ bhī is rah pe aa.egā ki jahāñ

    milā ke haath bolegā maiñ to chaltā huuñ

    tirī judā.ī ġham hai na tere milne

    maiñ apnī aag meñ din raat jaltā rahtā huuñ

    ga.e vo roz ki bā.is-e-qarār thī jab

    tirī jhalak se bhī ab to udaas hotā huuñ

    mire baġhair hai mumkin kahāñ tirī takmīl

    mujhe pukār ki maiñ tirā kinārā huuñ

    kabhī to Duub sahī shaam ke samundar meñ

    ki maiñ sadā javāhar nikāl laayā huuñ

    bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun

    main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun

    jahan main jism tha tu ne wahan to sath diya

    wahan bhi aa ki jahan main tamam saya hun

    wo ek moD bhi is rah pe aaega ki jahan

    mila ke hath tu bolega main to chalta hun

    teri judai ka gham hai na tere milne ka

    main apni aag mein din raat jalta rahta hun

    gae wo roz ki tu bais-e-qarar thi jab

    teri jhalak se bhi ab to udas hota hun

    mere baghair hai mumkin kahan teri takmil

    mujhe pukar ki main hi tera kinara hun

    kabhi to Dub sahi sham ke samundar mein

    ki main sada hi jawahar nikal laya hun

    Source :
    • Book : chera chera mery kahani (Pg. 63)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now