bas ek bar falak se ishaara ho jae
bas ek baar falak se ishāra ho jaa.e
phir us ke ba.ad bhale jo ḳhasāra ho jaa.e
ajab fazā hai ki tahqīq us pe hai mauqūf
jo ho chukā hai vo ham se dobāra ho jaa.e
hatheliyoñ se halaq meñ utartā jām-e-visāl
kisī gilās meñ Dāleñ to khārā ho jaa.e
bas itnā duur rahūñgā ki tujh ko dekh sakūñ
kuchh itnā duur ki merā guzāra ho jaa.e
ye jitnī raushnī sadiyoñ meñ jazb kar chukī hai
zamīn chāñd ko le kar sitāra ho jaa.e
ajab nahīñ koī tujh sā banā diyā jaa.e
ajab nahīñ hai ki tū aur pyārā ho jaa.e
ye tāqchoñ meñ rakhe sab charāġh sūraj haiñ
agar vo chāñd sā chehra hamārā ho jaa.e
bas ek bar falak se ishaara ho jae
phir us ke baad bhale jo KHasara ho jae
ajab faza hai ki tahqiq us pe hai mauquf
jo ho chuka hai wo hum se dobara ho jae
hatheliyon se halaq mein utarta jam-e-visal
kisi gilas mein Dalen to khaara ho jae
bas itna dur rahunga ki tujh ko dekh sakun
kuchh itna dur ki mera guzara ho jae
ye jitni raushni sadiyon mein jazb kar chuki hai
zamin chand ko le kar sitara ho jae
ajab nahin koi tujh sa bana diya jae
ajab nahin hai ki tu aur pyara ho jae
ye taqchon mein rakhe sab charagh suraj hain
agar wo chand sa chehra hamara ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.