bas ek lafz mera phul sa khila dega
bas ek lafz mirā phuul sā khilā degā
bahār ban ke tire ghar ko bhī sajā degā
mujhe hai naaz mirā baḳht hai buland bahut
ye baḳht merā tujhe bādshāh banā degā
mirī gavāhī ko aadhā nahīñ samajhnā tum
ye ik gavāh tujhe daar pe chaḌhā degā
ḳhulūs terā mujhe ho agar mayassar to
to pyaar merā tujhe gulsitāñ banā degā
tū chāñd mere liye āsmāñ se laanā nahīñ
mirā qalam to ise haath se banā degā
bas ek lafz mera phul sa khila dega
bahaar ban ke tere ghar ko bhi saja dega
mujhe hai naz mera baKHt hai buland bahut
ye baKHt mera tujhe baadshah bana dega
meri gawahi ko aadha nahin samajhna tum
ye ek gawah tujhe dar pe chaDha dega
KHulus tera mujhe ho agar mayassar to
to pyar mera tujhe gulsitan bana dega
tu chand mere liye aasman se lana nahin
mera qalam to ise hath se bana dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.