bas gai aa ke aankhon mein sham-e-adn
bas ga.ī aa ke āñkhoñ meñ shām-e-adn
jagmagāte badan rañg-e-ruḳh pairahan
sahmī sahmī kiran sabz aḳhlāq kī
khurdure peḌ be-barg halkī chubhan
sarsarātī huī ret kartī hai chheḌ
kasmasāne lage sīpiyoñ ke badan
ḳhushk āvāra phirtā huā gard-bād
muntashir raah meñ shor-e-zāġh-o-zaġhan
dhuup rañgoliyoñ meñ bhare raushnī
jagmagātā huā aarzū ka chaman
bas gai aa ke aankhon mein sham-e-adn
jagmagate badan rang-e-ruKH pairahan
sahmi sahmi kiran sabz aKHlaq ki
khurdure peD be-barg halki chubhan
sarsaraati hui ret karti hai chheD
kasmasane lage sipiyon ke badan
KHushk aawara phirta hua gard-baad
muntashir rah mein shor-e-zagh-o-zaghan
dhup rangoliyon mein bhare raushni
jagmagata hua aarzu ka chaman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.