bas hum hain shab aur karahna hai
bas ham haiñ shab aur karāhnā hai
ye aur tarah kā chāhnā hai
hai va.ada-e-vasl aaj mujh ko
asbāb-e-tarab basāhnā hai
haiñ nāvak-e-ġhamza garche kaarī
merā hī jigar sarāhnā hai
duniyā hai sarā-e-fānī is meñ
jo aayā hai yaañ so pāhnā hai
chitvan meñ kahe hai yuuñ vo maġhrūr
tujh se mujhe kyā nibāhnā hai
ai 'mus.hafī' dil rahā hai pīchhe
us ko bhī zarā nibāhnā hai
bas hum hain shab aur karahna hai
ye aur tarah ka chahna hai
hai wada-e-wasl aaj mujh ko
asbab-e-tarab basahna hai
hain nawak-e-ghamza garche kari
mera hi jigar sarahna hai
duniya hai sara-e-fani is mein
jo aaya hai yan so pahna hai
chitwan mein kahe hai yun wo maghrur
tujh se mujhe kya nibahna hai
ai 'mushafi' dil raha hai pichhe
us ko bhi zara nibahna hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 314)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.