bas humne sath tera har dua mein manga hai
bas ham ne saath tirā har duā meñ māñgā hai
ki apnī jaañ se ziyāda tujhī ko chāhā hai
zamāne bhar ke bahut log tum ne dekhe haiñ
hamāre jaisā kahīñ koī tum ne dekhā hai
añdherī raat ke ai chāñd tū batā mujh ko
mirī tarah vo kabhī tere saath jaagā hai
har ek dard rihā ho gayā mire dil se
ki maiñ ne jab bhī tirā hañstā chehra dekhā hai
tumhāre aage sitāre nazāre kuchh bhī nahīñ
tumhāre aage har ik rañg phīkā phīkā hai
bas hum ne sath tera har dua mein manga hai
ki apni jaan se ziyaada tujhi ko chaha hai
zamane bhar ke bahut log tum ne dekhe hain
hamare jaisa kahin koi tum ne dekha hai
andheri raat ke ai chand tu bata mujh ko
meri tarah wo kabhi tere sath jaga hai
har ek dard riha ho gaya mere dil se
ki main ne jab bhi tera hansta chehra dekha hai
tumhaare aage sitare nazare kuchh bhi nahin
tumhaare aage har ek rang phika phika hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.